Tuesday, June 26, 2012

Har Ek Baat Pe Kehte Ho ....

Har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ? 
Tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? 

Na shole mein yeh karishma na barq mein yeh ada 
Koee batao ki woh shokh-e-tund khoo kya hai ? 

Yeh rashk hai ki wo hota hai ham sukhan tumse 
Wagarna khauf-e-bad aamozi-e-adoo kya hai ? 

Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan 
Hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ? 

Jalaa hai jism jahaan dil bhee jal gaya hoga 
Kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ? 

Ragon mein daudte firne ke ham naheen qaayal 
Jab aankh hee se na tapka to fir lahoo kya hai ?

Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez 
Siwaay baada-e-gul faam-e-mushkaboo kya hai ? 

Piyoon sharaab agar khum bhee dekh loon do chaar 
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ? 

Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee 
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ? 

Bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata 
Wagarna shehar mein 'Ghalib' kee aabroo kya hai ?

No comments:

Post a Comment